Quantcast

Thursday, February 2, 2012

Nusrat Fateh Ali Khan - Afreen Afreen

Nusrat Fateh Ali Khan - Afreen Afreen 
Lyrics - Javed Akhtar

Traditional Version



Remixed Version



Husn -e- jana ki tareef mumkin nahi
Aafreen aafreen, aafreen aafreen
Tu bhi dekhe agar to kahe humnasheen
Aafreen aafreen, aafreen aafreen 
[Husn-e-Jana = Beauty of the beloved, Afreen = Excellent, Humnasheen = companion]

Aisa dekha nahi khoobsurat koi
Jism jaise Ajanta ki moorat koi
Jism jaise nigaahon pe jaadu koi
Jism naghma koi, jism khushboo koi
Jism jaise machalti hui raagni
Jism jaise mehekti hui chandni
Jism jaise ke khilta hua ek chaman
Jism jaise ke sooraj ki pehli kiran
Jism tarsha hua dil-kash o dil-nasheen
[Khoobsurat=Beautiful, Jism=Body, Ajanta ki Moorat= statues of Ajanta , Naghma = Song,
Machalti Ragini = the delicate fluctuating notes in a complicated Raagini (kind of classical music),
Chaman= Garden, Tarsha=skillfully carved(used for sculptures), Dilkash=Lovely, Dilnasheen=Sweet heart ]

Sandali sandali, marmari marmari
Afreen aafreen, aafreen aafreen
[sandali=sandal wood , marmari= marble]

Husn e jana ki tareef mumkin nahi
Aafreen aafreen, aafreen aafreen

Chehra ek phool ki tarah shadaab hai
Chehra uska hai ya koi mehtaab hai
Chehra jaise ghazal, chehra jaan e ghazal
Chehra jaise kali, chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasawwur bhi tasveer bhi
Chehra ek khwaab bhi, chehra taabeer bhi
Chehra koi alif laila ki dastaan
Chehra ek pal yaqeen, chehra ek pal gumaan
Chehra jaisa ki chehra kaheen bhi naheen
[Shadaab = fresh, mehtaab=light of moon, kanwal=lotus,
Tasavvur=imagination, tasveer= picture, tabeer= interpretation of a dream,
Yaqeen= certainity, gumaan= doubt  ]

Maahroo maahroo, mehjabeen mehjabeen
aafreen aafreen, aafreen aafreen
[mahroo= face of moon, , mehjabeen= beauty like moon]

husn e jana ki tareef mumkin nahi
Aafreen aafreen, aafreen aafreen

aankhein dekhi to mein daikhta reh gaya
jaam do aur donon he do aatisha
aankhein ya maikade ke yeh do baab hein
aankhein inko kahoon ya kahoon khuwaab hein
aankhein neechi hui to haya bun gayi
aankhein unchi hui to dua bun gayi
aankhein uth ker jhuki to ada bun gayi
aankhein jhuk ker uthi to qaza bun gayi
Aankhein jin mein qaid aasman o zameen
[jaam=goblet of wine, aatisha= burning , maikade=wine house, baab=doors
Haya= modesty, dua= prayer, ada= charm/grace, qaza= judgement   ]

Nargisi nargisi, surmayi surmayi
aafreen aafreen, aafreen aafreen
[nargisi = like the nargis flower, surmayi = at break of dawn]

husn e jana ki tareef mumkin nahi
Aafreen aafreen, aafreen aafreen

zulf-e-janaan ki bhi lambi hai daastan
zulf ki mere dil par hain parchiyaan
zulf jaisay ke umdi howi ho ghata
zulf jaisay ke ho koi kaali bala
zulf uljhay to duniya pareshaan ho
zulf suljhay to yeh zeest aasan ho
zulf bikhray siyah raat chaanay lagay
zulf lehraye to raat ganay lagay
zulf zanjeer hai phir bhi kitni haseen
[umdi = gathered, ghata=clouds, kaali bala = evil spirits,
Zeest=life and existence, siyah raat= darkness of the night]

Reshmi reshmi, amberi amberi
aafreen aafreen, aafreen aafreen
[reshmi= silky, amberi= fragrant ]

Husn e jana ki tareef mumkin nahi
Aafreen aafreen, aafreen aafreen

Afreen Afreen is one of those songs that has attempted to portray beauty in a song, which is a great attempt in itself and it is done so beautifully in this song. each verse is like a visual of different natural beautiful things. And has compared to the beauty of his beloved. Starting from Jism (body) , Chehra(face), Aakhen(eyes), and Zulf (Tresses). Each and every line in itself makes you imagine something more beautiful than the other. And the praise is still not possible. So true, "Husn-e-jaana ki tareef mumkin nahin."